Friday, 25 January 2013

Akhtar Malik


Bari Minat Samajat Se, Kahin Ja Kr Woh Ma'na Hai..

Jisy Do Chaar Lafzon Men Manany Ka Irada Tha..

Hum Tarasty,,


Hum Trastay Hi, Trastay Hi, Trastay Hi Rahay......* 

Woh Falaan Se, Falaan Se, Falaan Se Milay.....*

Ba'qaiydgi Se Itney ..


Ba'qaiydgi Se Itney Achey Nahi Sitam..

Kuch Roz'Naamchey Mein Tarmeem KiJiye...!

Favourite Ghazal..


Tera Khayaal Agar Juzv-e-Zindagi Na Rahy..

Jahan Mein Mere Liye Koi Dil-Kashi Na Rahy..
.
.
Men Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamana Men..

Jahan Se koi Bhi Imkaan-e-Wapsi Na Rahy..
.
.
Tu Theak Kehta Hai Ay Mohsin,, Theak Kehta Hai..

K Hum Hi Qaabil-e-Tajdeed-e-Mohabbat Na Rahy..
.
.
Hazoor! Yaad Hai Maidan-e-Hashar Ka Wada..

Kahin Wahan Bhi Meri Aankh Dhoondhti Na Rahy..
.
.
Mera To Khair Azal Hi Se Gham Muqadar Hai..

Teri Nigaah Ki Pehchaan Be-Rukhi Na Rahy..
.
.
Tery Firaaq Ka Mousam Azaab Hai MOHSIN..

Kabhi Kabhi To Men Kehata Hoon,, Zindagi Na Rahy..

Poet : Mohsin Naqvi

Favourite Ghazal..

Try Jesa Mera Bhi Haal Tha,, Na Saokoon Tha Na Qaraar Tha,,
.
Yehi Umar Thi Mry Ham-Nasheen, K Kisi Se Mujh Ko Bhi Pyaar Tha..
.
.
Men Samjh Raha Hoon Tri Kasak, Tra Mera Dard Hai Mushtarik,,

.
Is Gham Ka Tu Bhi Aseer Hai,, Isi Dukh Ka Men Bhi Shikaar Tha..
.
.
Faqat Aek Dhun Thi K Raat Din,, Isi Khuwab Zaar Mein Gum Rahen,,
.
Woh Saroor Aesa Sarror Tha,, Woh Khumaar Aesa Khumaar Tha..
.
.
Kabhi Lamha Bhi Bhi Guftagu,,, Mri Us K Saath Na Ho Saki..

Mujhe Fursaten Na Mil Sakien,, Woh hawa K Rath Py Sawaar Tha..
.
.
Hum Ajeeb Tarz K Log Thy,, Hamary Aur Hi Rog Thy..
.
Men Khizaan Men Us Ka Tha Muntizar, Usy Intezaar-e-Bahaar Tha..
.
.
Usy Parh K Tum Na Samjh Sky,, K Mri Kitaab K Roop Men,,
 .
Koi Qarz Tha Kayi Saal Ka,, Kayi Rat-Jagon Ka Udhaar Tha..

Poet - Aetbaar Sajid

Favourite Ghazal..

Faqeer Ban Kr Tum Un K Darr Par,, Hazaar Dhooni Rama K Betho..

Jabee'n K Likhy Ko Kia Karo Gy,, Jabee'n Ka Likha Mita K Betho..
.
 .
Ay Unki Mehffil Men Aany Walo, Ay Sood-o-Soda Batany Walo..

Jo Unki Mehfil Mein Aa K Bethomm To Sari Duniya Bhula K Betho..
.
.
Bohat Jataty Ho Chah Hum Se,, Magr Karo Gy Nibaah Hum Se..??

Zara Milao Nigaah Hum Se,, Hamary Pehlu Mein Aa K Betho..
 .
.
 Junoo'n Purana Hai Aashoqon Ka,,Jo Yeh Bahana Hai Aashiqon Ka..

To Ik Thikhana Hai Aashiqon Ka,, Hazoor! Jungle Mein Ja K Betho..
.
.
Hamain Dikhao Na Zard Chehra,, Yeh Wehshaton Ki Gard Chehra..

Rahy Ga Tasweer-e-Dard Chehra,, Jo Rog Aesa Laga K Betho..
.
.
Janab INSHA Yeh Aashiqi Hai,, Janab INSHA Yeh Zindagi Hai..

Janab Insha Jo Hai Yehi HAi,, Na Is Se Daman Chura K Betho..

Friday, 11 January 2013

Abbas Tabish

Dil Ko Kisi Ka Saamna Krny Ki Taab Hi Na Thi.. 

Acha Kia K Aankh Ne, Aasu Ko Darmiyaa'n Kia.

Nazeer Qaiser

Usne Hathon Py Hont Kiya Rakhy,,

Aa Gayi Sari Jaan Hathon Me..

Waah...

Mujhey Dekh Kar Log Kehtay Hain....*

Haan Iss Ko Muhabbat Kehtay Hain....*

Muhammad Ameen Sajid Saeedi

Jisne Mujhe Na_Shaad Kia, Shaad Rahy Woh,,

Hr Waqt Mere Lab Py Yehi Aek Dua Hai.

Muhammad Saleem Tahir

Dil Ko Yeh Weham K Woh Bhool Gaya Hai Mujh Ko..

Phir Bhi Yeh Aas,, K Woh Izn_e_Rasayi De Ga..

Tamam Umar,,,

Tamam Umar Saharon Ki Aas Rehti Hai..!!

Tamam Umar Saharay Faraeb Detay Hein..!!

Mohsin Naqvi

Ik Tum K Tumhary Liye, Men Bhi, Meri Jaan Bhi..

Ik Men K Mujhe Tum Bhi Muyasir Nahi Aaty.. -

Saturday, 5 January 2013

Aaahhh...

Lehja_e_Yaar Main Zehar Hai Bichoo Ki Trah..
 
woh Mujhe Aap To Kehta Hai,, Magar Tu Ki Trah.

aAINA dEKHNY lAGY..

Aa'ina daikhnay lgay tum bhi,,,

Tum se to aa'inay sanwartay thay..

Khuwab..

Khuwab Lafzon Mein Dhal Nahii Skty...!!!

Kaash..! Aankhen Parha Kry Koi..

Usay Yeh Weham..

Usay Yeh Weham K Main Jaan De Na Paoon Ga..

Hamain Yeh Khof K Roye Ga Aazma K Mujhe..

Sobia Gazal

Jis Men Kahin Tumhara Bhi Kuch Zikr Aa Gya.. 

Woh Shair, Baar Baar Sunana Para Mujhe..

Sahir Ludhyanvi

Men Jisy Pyar Ka Andaz Samjh Betha Hun.. 

Woh Tabasum, Woh Takalum, Tri Aadat Hi Na Ho..

Khalid Shareef

Teri Bheji Hui Khushbu Ko Pehan Kr Janaa'n..

Raat Phr Dair Talak Men Ne Tujhe Yaad Kia.. -

Mazaqan Hum Ne Pucha Tha..

Mazaqan Hum Ne Pucha Tha, Sabab Honton Ki Surkhi Ka.. 

Kaha Zalim Ne Yeh Tan'zan, "Tumhara Khoon Peetay Hain"

Happy New Year

Aaj Aek Aur Baras Beet Gaya Us Ke Begheir..

 Jis K Hote Hue Hote Thy Zamany Mere..


Shama Ki Lou Thi K Tu Tha ..

Dair Tak Rota Raha Koi Sarhane Mere..

Ishq Ishq Ishq

Bs Yaad Reh Gya Tha Mujhe, Ishq Ishq Ishq..

Phir Yeh Bhi Lafz Meri Zubaa'n Se Alag Hua..

Pray For PAKISTAN

Paani Sasta Hai To Iska Tahafuz Kaisa...?

Khoon Mehnga Hai To Phir Shehar Me Bahta Kyo'n Hai...?

Teri Yaad,

Teri Yaad, Elaaj-e-Gham Hai..

Soch, Tera Muqaam Kia Hoga..