Friday, 22 November 2013

Ishq, Muhabbat, Pyaar..

Mujh mein Paiwast ho Tum youn Keh Zamaney walay.. Meri Matti se Meray baad Nikalain gay Tumhein..

Ishq, Muhabbat, Pyaar..

Mujh mein Paiwast ho Tum youn Keh Zamaney walay.. Meri Matti se Meray baad Nikalain gay Tumhein..

Begherat..

بیٹھ کر زر نگار صوفوں پر ،، ، ، میری مٹی کے ناخدا اکثر... ہاے... غربت پہ بات کرتے ھیں..!

Begherat..

بیٹھ کر زر نگار صوفوں پر ،، ، ، میری مٹی کے ناخدا اکثر... ہاے... غربت پہ بات کرتے ھیں..!

Begherat..

بیٹھ کر زر نگار صوفوں پر ،، ، ، میری مٹی کے ناخدا اکثر... ہاے... غربت پہ بات کرتے ھیں..!

Allah...

ﺟﺲ ﻧﮯ ﺑﻦ ﻣﺎﻧﮕﮯ ﻋﻄﺎ ﮐﯿﺎ , ﻭﮦ ﻣﺎﻧﮕﻨﮯ ﭘﺮ ﮐﯿﻮﮞ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﮐﺮﮮ ﮔﺎ.

Eid Mubarak...

کـچھ ستـارے تـیری پلکـوں پـہ بھـی روشـن ہـوں گـے کـچھ رلائـے گـا مجھـے بھـی تـیرا غـم عیـد کۤے دن

Best Quote...

"احسانوں کے بدلے تب چکائے جاتے ہیں، جب تعلق توڑنا ہو- جہاں محبت ہو، وہاں احسان کیا جاتا ہے اور احسان رکھا جاتا ہے" -عمیرہ احمد (من و سلوی)

Best Quote...

"احسانوں کے بدلے تب چکائے جاتے ہیں، جب تعلق توڑنا ہو- جہاں محبت ہو، وہاں احسان کیا جاتا ہے اور احسان رکھا جاتا ہے" -عمیرہ احمد (من و سلوی)

Afsos..

Pehly Rag Rag Se Meri Khoon Nichora Usne.. Ab Yeh Kehta Hai Rangat Hi Meri Peeli Hai..

Wasta..


Wasta Mera Pathro'n Se Hi Raha..
astaa Jo Bhi Ikhteyaar Kia..

R

Jagny ka Aazaaab..

Jaagnay Ka Azaab Seh Seh Kar..*
Apnay Andar Hi Soo Gaya Hoon Main..*

Fitt...

Kash utna shaoor bhi rakhty Jitna haseen hoty hain wo log

Aaalllaaaa..

Fehrist Bany Jo Phoolon Ki.. Tum Sab Se Pehly Aaty Ho..

Kia Bataao'n..??

Keya BataOOn MasEEha Teri MasEEhaai K Ba'ad...! Dard Tu Kuch Kam HoWa Magar A'arAAm Tak Nahi PonCha....!

Woh Chehra..*

Woh chehra parh parh k yaad kar lo.. Woh ja chuky to kitaab likhna..

Hayee..

Zindagi Bhar K Imtehaan K Baad..* Woh Nateejy Me Kisi Aur Ka Nikla..*

Hayee..

Zindagi Bhar K Imtehaan K Baad..* Woh Nateejy Me Kisi Aur Ka Nikla..*

Quote.

Aurat Ka Parda Karna, Shaheed K Khoon Se Bhi Afzal Hai.. - Hazart Imam Hussain (R.A)

Fakhra Batool

Tum Ne To Sirf Suna Hi Hoga.. Main Ne Jo Dard Saha, Dair Talak..

Best Quote..

مقدر ........ اتنی بار بدلتا ہے جتنی بار بندہ رجوع کرتا ہے

Eid Mubarak..

Tu Jab Bhi Mere Pas Na Ho.. Tehwaar Saza Ho Jaty Hen..

Ab Zabt Hai Dushwaar..

Kab Tak Yeh Sarabon Ka Safar Karty Raho Gy.. Ab Zabt Hai Dushwaar, Usy Kiun Nai Likhty..

Think About It..

Bhooka Marta Tha Khandan Mera..* Mene Ujrat Pe Khud-Kushi Kar Li..*

Quote

Mayoos To Woh Ho, Jiska Rab Na Ho..

Quote

Kisi Ki Aankh Tumhari Wajah Se Numm Na Ho.. Kiun K.. Tumhen Us K Har Aansoo Ka Qarz Chukaana Hoga..


کھبی رحمت تڑپتی ہے کہ کوئی آسراءمانگے.....

کھبی بے آسراء ہو کر دعائیں لوٹ آتی ہیں......

Fav..

Koi Mere Labon Py Bhi La Dey..
Woh Dua'en Jo Qabool Hoti Hen..

Monday, 17 June 2013

Aaah.. Fav..

Jo Saa'aton Ki Qadr Na Jany..
 
Woh Hath Malty Hen, Soch Lena..

JaunElia

Tujh Se Mujh Ko Nijaat Mil Jaye.
 
Tu Dua Kar K Ho Bhala Mera..

Favourite..

Kalaam Mujh Se Karay Ga Lekin, Agar Laga K Magar Laga K..
 
Kisi K Baray Mein Sochta Hy Kisi K Seenay Se Sar Laga K..

Muhabbat

Muhabbat Bheek Hai Kiya..?
 
Jo Men Mangta Phiroon..

Be-Khayali Men Bhi Khayal Mera..

Be-Khayali Men Bhi Khayal Mera..
 
Aaya Ho Ga,, Jhatak Diya Hoga..

Aalaa..

Mere Choomy Huye Haathon Se.. 
 
Ab Woh Auron Ko Khatt Likhty Hen..

Jigar Murad Abadi

Bhool Jata Hoon Men Sitam Us K..
 
Woh Kuch Is Saadgi Se Milta Hai.

Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Khulta Kisi Py Kiun Mry Dil Ka Muamla.. 
 
 Shairon K Intekhab Ne Ruswa Kia Mujhe..

Salman Akhtar

Ik Wohi Shakhs Mujh Ko Yaad Raha..*
 
Jis Ko Samjha Tha Bhool Jaon Ga..*

Ab Jo..

Ab Jo Rootho Gy To Haar Jao Gy..
 
Hm Manany K Gur Bhula Bethy Hen..

AALaa

Saari Dunya Udaas Paao Gy,,
 
Muj'Se Toray Jo Silsly Tum Ne

Good..

Yaqeen ki Pukhtagi or Ikhlaq ka Husan, Jis Bandey main ho jaye,,
Woh aik hi Waqt main Khaliq Or Makhlooq Dono ka Mehboob Ban jata hai..

Ek Nazar,

Ek Nazar, Dekh Le Meri Jaanib..
 
Is Se Aagy Mera Muqaddar..

Hazrat Usman (R.A)

Insaaf Waheen Haasil Hota Hai Jahan Talib-e-Insaaf 
Apne Bazuoon Mein Hasool-e-Insaaf Ki Taqat Rakhta Ho..

Hmm..

Ab Jo Phoota Hai Aankh Sy Darya..
 
Dil Main Ravi Chanab Kia Kam Thy..
 
 
Tum Mohabbat Khareed Laey Ho..
 
Ghar Main Pehly Aazab Kia Kam Thy..

Saif Uldeen Saif

Umar Kesy Katy Gi Saif Yahan..
 
Raat Kat'ti Nazar Nai Aati..

Ab To Hr


Ab To Hr Waqt Hi Maathy Pr Shikan Rehti Hai..

ayina Dekhiye,, Surat Kabhi Aesi To Na Thi..

Baarish

Kisi K Saath Nahaatay Hain Taizz Barish Main..
 
Libaas, Gajray, Uffaq, Aankh, Zulf, Hont, Hansi..

Favourite

Baat Neeyat Ki Sirf Hai Warna.. 
 
Waqt Sary Dua K Hoty Hen..

Favourite..

Aesa To Kam Hi Hota Hai..*
 
Woh Bhi Hon Aur Tanhayi Bhi..*

Tazakry Sab K

Tazakry Sab K Rahengy Dhary.. 
 
Jb Mera Intekhab Nikle Ga..*

Ishq

Ishq Youn Hi Nahi Hua Sahib..*
Baat Usme Koi Juda Si Thi..*

Maafi..

Hussan ko Aagy Rasta Na Mila..
 
 Reh Gaya Bus Mere Yaar Ki Hadd Tak..

Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Meri Qismat Men Gham Gar Itny Thy..*
 
Dil Bhi Ya RAB, Kayi Diye Hoty..* -

Haye..

Jaise Hum Jaan Hi Nahi Rakhty..*

Maut Ka Ijtenaab To Dekho..*

Aaankh Men Teri Shakal Chupaye..*

Aaankh Men Teri Shakal Chupaye..* 
 
Men Sab Se Chupta Phirta Hun..*

Favourite..

آ کسی روز...
 کسی دکھ پہ اکٹھا روئیں...!!!

Altaf Hussain Hali

Hoti Nahi Qabool Dua, Tark-e- Ishq Ki..*
Dil Chahta Na Ho To Zubaa'n Men Asar Kahan..*

Dagh Dehlvi

Jis Men Lakhon Baras Ki Hoorien Hon..*
 
Aesi Janat Ka Kia Kry Koi..*

My Fav..

 Kehty Hen Log Mujh Ko Bhi DUA K Liye..* 
 
Kis Qadar RAB Ne Mery Ae'ib Chupa Rakhy Hen..*

Na Ayaa'n Hui Tm Se,

Na Ayaa'n Hui Tm Se, Na Bayaa'n Hui Hm Se.
 
Bs Suljhi Hui Aankhon Men, Uljhi Rahi Mohabbat.. 

Hussan Ka Bhao..

Hussan Ka Bhao Shehar Men Ab Aur Bhi Barhega..
 
Do Ashiqo'n Ne Aik Hi Mehboob Chun Liya..

Musavir Sabzwari

Kia Na Tark_e_Marasim Py Ehtejaaj Usne..* 
 
K Jesy Guzry Ksi Manzil_e_Nijaat Se Woh..* -

Dor-e-Baatil mein..

Dor-e-Baatil mein, Haq praston ki..
 
Baat rehti hy, 'Sar' nahi rehtay..

Ahmad Faraz

Tera Dukh, Apni Wafa, Kaar_e_Jahan..*
Jo Bhi Shay Mehngi Pari, Achi Lgi..* 

Amjad Islam Amjad

Ae Gham_e_Ishq, Mri Aankh Ko Pathar Krde..*
 
 Hen Mry Sar Py, Tere Aur Bhi Ehsaan Buhat..*

Parveen Shakir

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem K Ab..* 
Woh Mujhe Yaad To Aata Hai, Mgr Kaam K Baad..*

Tuesday, 19 February 2013

Asad Badaewni


Men To Zakhmon Ko Khuda Se Bhi Chupana Chahon..*

Kis Liye Haal Mra, Khalaq-e-Khuda Puchti Hai..*

Ameer Qazalbash


Pathar Liye Hathon Men Jisy Dhoondh Raha Hai...*

Woh Tujh Ko Teri Zaat Se Bahir Na Mily Ga..*

Aap ko Aata Rha,


Aap ko Aata Rha, Mujhe Satany Ka Khayaal..

Sulah Se Achi Rhi Mujh Ko Larrayi Ap Ki..

Aankh..


Roz Karti Hai Karbla Barpa.. 

Aankh Teri Yazeed Ho Jesy..

Bicharny K Zamany..


Bicharny K Zamany Aa Gye Hen..*

Usy Kitny Bahany Aa Gye Hen..

Haye..!!


Bohat Mehsoos Hota Hai....* 

Tera Mehsoos Na Karna....*

Kuch Log Mere


Kuch Log Mere Qalm Se, Seete Hen Apne Zakhm..

Kuch Logo'n Ko Main Chubhta Hun, Ik Nok Ki Tarah..

Ahmad Faraz


Ab Try Zikr Py Hum Baat Badal Dety Hen..*

Kitni Rughbat Thi Try Naam Se, Pehly Pehly..*

Ahmad Faraz


Aaj Kia Dekh K Bhar Ayi Hen Teri Aankhen..* 

 Hum Py Ay Dost Yeh Sa'at To Hmesha Guzri..*

Baarish..


Pichlay Kafi Arsay Sy,

Soch Kr Buht Khush Tha,

K Men Bhool Betha Hon Uski Sari Yadon Ko,

Mujh Ko Yad Hi Kb Tha, K,

Barishen B Honi Hen.

Farhat Abbas Shah


Baarish Hui To Ghar K Dareechy Se Lag K Hum..

Chup Chaap Sogwaar Tmhen Sochty Rahy..

Akbar Alla Abadai


Mere Hawas Ishq Men Kia Kam Hen Muntishar..*

Majnu Ka Naam Ho Gya, Qismat Ki Baat Hai..*

My Fav..


Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni Si Baatien Hon..*

Zameen Par Chaand Kahan, Roz Roz Utarta Hai..*

Tum Kai Baar Mil Chuky Hoty..


Tum Kai Baar Mil Chuky Hoty...

Tum Jo Milty Agar Duao'n Se...

Aankhen..


Aankhen Pagal Hoti Hen..*

Keh Deti Hen Sara Kuch..*

Farhat Abbas Shah


Kb Tk Kisi K Sog Men Royen Gy Beth Kr..*

Hm Khud Ko Kitni Baar, Yeh Samjha K Ro Pary..*

My Fav..


Woh Jo Aansoo Qabool Hoga Usy..* 

Jany Kab Aankh Se Utarta Hai..*


 - Anees

Mujhey Kharch Kar..

Mujhey Kharch Kar Zara Soch Kar...* 
 
Main Bohat Kamm Hoon Bacha Hua...*

Thursday, 7 February 2013

Ahmad Faraz

Saaqiya   Aek   Nazar   Jaam  Se   Pehly   Pehly..
Hum Ko Jana Hai Kahin, Shaam Se Pehly Pehly..

No ( نو )  Giraftar-e-Wafa,   Sayi ( سعئ )   Rihayi   Hai Abas ( عبث )..
 Hum Bhi Ulajhty Thy Bohat Daam Se Pehly Pehly.

Khush Ho Ay Dil K Mohabbat To Nibha Di Tu Ne..
Log  Ujar  Jaty    Hen   Anjaam   Se   Pehly   Pehly... 

Ab Try Zikar Py Hum  Baat  Badal  Dete  Hen..
Kitni Rughbat Thi Tere  Naam  Se Pehly  Pehly.. 

 Saamny   Umar   Pari   Hai   Shab-e-Tanhayi  Ki..
 Woh Mujhe Chor Gaya  Shaam  Se  Pehly  Pehly.. 

Kitna Acha Tha K Hum Bhi Jiya  Karty   Thy..
 Ghair Maroof Se, Gumnaam Se,  Pehly  Pehly..

Friday, 25 January 2013

Akhtar Malik


Bari Minat Samajat Se, Kahin Ja Kr Woh Ma'na Hai..

Jisy Do Chaar Lafzon Men Manany Ka Irada Tha..

Hum Tarasty,,


Hum Trastay Hi, Trastay Hi, Trastay Hi Rahay......* 

Woh Falaan Se, Falaan Se, Falaan Se Milay.....*

Ba'qaiydgi Se Itney ..


Ba'qaiydgi Se Itney Achey Nahi Sitam..

Kuch Roz'Naamchey Mein Tarmeem KiJiye...!

Favourite Ghazal..


Tera Khayaal Agar Juzv-e-Zindagi Na Rahy..

Jahan Mein Mere Liye Koi Dil-Kashi Na Rahy..
.
.
Men Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamana Men..

Jahan Se koi Bhi Imkaan-e-Wapsi Na Rahy..
.
.
Tu Theak Kehta Hai Ay Mohsin,, Theak Kehta Hai..

K Hum Hi Qaabil-e-Tajdeed-e-Mohabbat Na Rahy..
.
.
Hazoor! Yaad Hai Maidan-e-Hashar Ka Wada..

Kahin Wahan Bhi Meri Aankh Dhoondhti Na Rahy..
.
.
Mera To Khair Azal Hi Se Gham Muqadar Hai..

Teri Nigaah Ki Pehchaan Be-Rukhi Na Rahy..
.
.
Tery Firaaq Ka Mousam Azaab Hai MOHSIN..

Kabhi Kabhi To Men Kehata Hoon,, Zindagi Na Rahy..

Poet : Mohsin Naqvi

Favourite Ghazal..

Try Jesa Mera Bhi Haal Tha,, Na Saokoon Tha Na Qaraar Tha,,
.
Yehi Umar Thi Mry Ham-Nasheen, K Kisi Se Mujh Ko Bhi Pyaar Tha..
.
.
Men Samjh Raha Hoon Tri Kasak, Tra Mera Dard Hai Mushtarik,,

.
Is Gham Ka Tu Bhi Aseer Hai,, Isi Dukh Ka Men Bhi Shikaar Tha..
.
.
Faqat Aek Dhun Thi K Raat Din,, Isi Khuwab Zaar Mein Gum Rahen,,
.
Woh Saroor Aesa Sarror Tha,, Woh Khumaar Aesa Khumaar Tha..
.
.
Kabhi Lamha Bhi Bhi Guftagu,,, Mri Us K Saath Na Ho Saki..

Mujhe Fursaten Na Mil Sakien,, Woh hawa K Rath Py Sawaar Tha..
.
.
Hum Ajeeb Tarz K Log Thy,, Hamary Aur Hi Rog Thy..
.
Men Khizaan Men Us Ka Tha Muntizar, Usy Intezaar-e-Bahaar Tha..
.
.
Usy Parh K Tum Na Samjh Sky,, K Mri Kitaab K Roop Men,,
 .
Koi Qarz Tha Kayi Saal Ka,, Kayi Rat-Jagon Ka Udhaar Tha..

Poet - Aetbaar Sajid

Favourite Ghazal..

Faqeer Ban Kr Tum Un K Darr Par,, Hazaar Dhooni Rama K Betho..

Jabee'n K Likhy Ko Kia Karo Gy,, Jabee'n Ka Likha Mita K Betho..
.
 .
Ay Unki Mehffil Men Aany Walo, Ay Sood-o-Soda Batany Walo..

Jo Unki Mehfil Mein Aa K Bethomm To Sari Duniya Bhula K Betho..
.
.
Bohat Jataty Ho Chah Hum Se,, Magr Karo Gy Nibaah Hum Se..??

Zara Milao Nigaah Hum Se,, Hamary Pehlu Mein Aa K Betho..
 .
.
 Junoo'n Purana Hai Aashoqon Ka,,Jo Yeh Bahana Hai Aashiqon Ka..

To Ik Thikhana Hai Aashiqon Ka,, Hazoor! Jungle Mein Ja K Betho..
.
.
Hamain Dikhao Na Zard Chehra,, Yeh Wehshaton Ki Gard Chehra..

Rahy Ga Tasweer-e-Dard Chehra,, Jo Rog Aesa Laga K Betho..
.
.
Janab INSHA Yeh Aashiqi Hai,, Janab INSHA Yeh Zindagi Hai..

Janab Insha Jo Hai Yehi HAi,, Na Is Se Daman Chura K Betho..

Friday, 11 January 2013

Abbas Tabish

Dil Ko Kisi Ka Saamna Krny Ki Taab Hi Na Thi.. 

Acha Kia K Aankh Ne, Aasu Ko Darmiyaa'n Kia.

Nazeer Qaiser

Usne Hathon Py Hont Kiya Rakhy,,

Aa Gayi Sari Jaan Hathon Me..

Waah...

Mujhey Dekh Kar Log Kehtay Hain....*

Haan Iss Ko Muhabbat Kehtay Hain....*

Muhammad Ameen Sajid Saeedi

Jisne Mujhe Na_Shaad Kia, Shaad Rahy Woh,,

Hr Waqt Mere Lab Py Yehi Aek Dua Hai.

Muhammad Saleem Tahir

Dil Ko Yeh Weham K Woh Bhool Gaya Hai Mujh Ko..

Phir Bhi Yeh Aas,, K Woh Izn_e_Rasayi De Ga..

Tamam Umar,,,

Tamam Umar Saharon Ki Aas Rehti Hai..!!

Tamam Umar Saharay Faraeb Detay Hein..!!

Mohsin Naqvi

Ik Tum K Tumhary Liye, Men Bhi, Meri Jaan Bhi..

Ik Men K Mujhe Tum Bhi Muyasir Nahi Aaty.. -

Saturday, 5 January 2013

Aaahhh...

Lehja_e_Yaar Main Zehar Hai Bichoo Ki Trah..
 
woh Mujhe Aap To Kehta Hai,, Magar Tu Ki Trah.

aAINA dEKHNY lAGY..

Aa'ina daikhnay lgay tum bhi,,,

Tum se to aa'inay sanwartay thay..

Khuwab..

Khuwab Lafzon Mein Dhal Nahii Skty...!!!

Kaash..! Aankhen Parha Kry Koi..

Usay Yeh Weham..

Usay Yeh Weham K Main Jaan De Na Paoon Ga..

Hamain Yeh Khof K Roye Ga Aazma K Mujhe..

Sobia Gazal

Jis Men Kahin Tumhara Bhi Kuch Zikr Aa Gya.. 

Woh Shair, Baar Baar Sunana Para Mujhe..

Sahir Ludhyanvi

Men Jisy Pyar Ka Andaz Samjh Betha Hun.. 

Woh Tabasum, Woh Takalum, Tri Aadat Hi Na Ho..

Khalid Shareef

Teri Bheji Hui Khushbu Ko Pehan Kr Janaa'n..

Raat Phr Dair Talak Men Ne Tujhe Yaad Kia.. -

Mazaqan Hum Ne Pucha Tha..

Mazaqan Hum Ne Pucha Tha, Sabab Honton Ki Surkhi Ka.. 

Kaha Zalim Ne Yeh Tan'zan, "Tumhara Khoon Peetay Hain"

Happy New Year

Aaj Aek Aur Baras Beet Gaya Us Ke Begheir..

 Jis K Hote Hue Hote Thy Zamany Mere..


Shama Ki Lou Thi K Tu Tha ..

Dair Tak Rota Raha Koi Sarhane Mere..

Ishq Ishq Ishq

Bs Yaad Reh Gya Tha Mujhe, Ishq Ishq Ishq..

Phir Yeh Bhi Lafz Meri Zubaa'n Se Alag Hua..

Pray For PAKISTAN

Paani Sasta Hai To Iska Tahafuz Kaisa...?

Khoon Mehnga Hai To Phir Shehar Me Bahta Kyo'n Hai...?

Teri Yaad,

Teri Yaad, Elaaj-e-Gham Hai..

Soch, Tera Muqaam Kia Hoga..